Sunday, 18 March 2012

Raaste abhi aur bhi hai


Khwabon ki duniya sajaakar,
dhokhe bahut khaye hai.
Tabhi ek aawaaj ayi,
Soch mein ab kyon pada hai.
Jindagi ke raaste mein,
Sochna abhi aur bhi hai.
Karm ki rahon par chal le,
Raaste abhi aur bhi hai.


Dur najrein kyon gadhaye,
duniya chamakti ret si hai.
Paas jaakar dekh usko,
yeh chamak bhi khokhli hai.
Ek raasta band hua toh,
Dusra abhi aur bhi hai.
Karm ki raahon par chal le,
Raaste abhi aur bhi hai.


Kamal bhi keechad mein khilta,
dekh usko tu badal ja.
Koyale ki khan mein bhi,
heere ki talaash kar ja.
Kya hua jo na mila toh,
Ek heera aur bhi hai.
Karm ki raahon par chal le,
Raaste abhi aur bhi hai.


Unchaaiyon se khafa hai kyon,
baat chal le ye batohi.
Tu nigaahein yun gadha le,
Najar aaye rah teri.
Doraha pe khada toh kya,
ek raasta aur bhi hai.
Karm ki raahon par chal le,
Raaste abhi aur bhi hai.


Jindagi ke mod tedhe,
chal sambhalkar ye batohi.
Karm karke raah banaa le,
yeh raah aasaan hogi.
Le shapath tu aaj se hi,
karm hi teri jindagi hai.
Karm ki raahon par chal le,
raaste abhi aur bhi hai.


Kyon bhatakta man hai tera,
khwaabon ke aansu kyon chhalakte.
Iss duniya se bahar aakar,
ek duniya fir basaa le.
Ek Akela tu nahi hai,
duniya mein kayi aur bhi hai.
Karm ki raahon par chal le,
raaste abhi aur bhi hai.


No comments:

Post a Comment